Kaun aata hai Shirdi mere liye

Kaun aata hai Shirdi mere liye
Sab he aate yaha pe apne liye
Kaun karta dua kisi ke liye
Sab he kahte hai Sai mere liye

Kaun aata hai Shirdi mere liye
Sab he aate yaha pe apne liye

Meer dil me unki hai chahat bari
Jo sab he ke kaam aate hai
Muhje unse bhi shikwa nahi hai koi
Mangte hai jo khushiya sirf apne liye
Aur karte nahi kuch bhi rabb ke liye

Kaun aata hai Shirdi mere liye
Sab he aate yaha pe apne liye

Mai to khud ek fakir hu tumhe kya mai du
Fakiri ke masti me ramta rahu
Mai to banda hu unka mai kasie kahu
Allah malik ke kehne se karta rahu
Bhala ho sab he ka ye chahat meri
Aise bhakto ke zholi mai bharta rahu

Kaun aata hai Shirdi mere liye
Sab he aate yah ape apne liye

Sun leta hu mai bhi sab he ke kahi
Bhale ho bure ho ya ho jo koi
Sab ke ranjo sitam bhi sahu
Aur maula se mere mai kehta rahu
Bhar de zholi tu unke mere naam se
Aur gunah ko tu unke zara baksh de

Kaun aata hai Shirdi mere liye
Sab he aate yaha pe apne liye